14-02-2024 Basant Panchami ke din sarswati pooja ka vishesh mehtva hai, Pauranik kathao ke anusaar aaj ke din Mata Saraswati ka janam hua tha jinke sath basant ritu ka srijan hua tha. Aaj ke din Mata Saraswati ki pooja karne se buddhi,dhan, vaibhav ki prapti hoti hai, Vidyathiyo ke liye ye din amrit kalash samaan hai jiski ek boond me hi anannt chamatkaar karne ka samarthya hai.

Chahe aapki board ki pariksha ho, ya kisi competitive exam ki aap tiyaari kar rahe ho , ya sirf apni buddhi ko prabal banana chahte ho yah upaya sabke liye kaargar hai jisme ki kisi vishesh niyam ki avashyakta nhi hai.

Jyotishacharyo ke anusaar 14-02-2024 Basant Panchami subah 7:10am se 12:22pm tak ka samaya ati subh bataya gaya hai lekin yadi kisi kaaran vash aap is samay pe pooja nhi kar pa rahe hain to aap sandhay kaam 7:59pm tak kisi bhi samaya pooja kar sakte hain.

14-02-2024 Basant Panchami Kaise Kare Pooja

Pratah kaal uth ke snaan krke shuddh hoke peele vastra pehen ke mata saraswati ke saamne aaseen hoye, tat pashchat pehel svayam ko fir Mata Saraswati ko peele chandan ka tilak lagaye tatha mata sarswati ko peele pushp arpit karte hue 5 baar “ओम ऐं ह्रीं क्लीं महासरस्वती देव्यै नमः” mantra ka jaap kare, yun to kisi bhi pooja me 108 ka vidhaan hota hai lekin yadi aapke paas smay ki kami hai jis prakaar board eaxm shuru hone waale hain aap kewal 5 baar bhi devi saraswati ke mantra ka jaap kr skte hain kyuki Mata Saraswati panch vidya swaroopini hai isliye unke liye pure man se 5 baar bola gaya beej mantra bhi utana hi kaargar hai jitna 108 baar. Sirf vidyarthi hi nhi koi bhi is mantra ka jaapkr sakta hai

Aim|| ऐं||

” Aim” Mata Saaswati ka beej mantra maana jaata hai jo ki unka ekakshari beej mantra hai jiske uccharan se vidyarthiyo ki ekargrta badhti hai aap is ekakshari mantra ka akele tatha mishrit mantro me upuog kar skte hain jaise “ओम ऐं ह्रीं क्लीं महासरस्वती देव्यै नमः

14-02-2024 Basant Panchami Vidyarthiyo ke liye Vishesh Mantra

Beej mantra ke sath sath devi saraswati ke anya mantra hain jo jyotishacharyo dwara vishesh vidyarthiyo ke liye bataye gaye hain.

1- शारदायै नमस्तुभ्यं मम ह्रदय प्रवेशिनी, परीक्षायां सम उत्तीर्णं, सर्व विषय नाम यथा।

2- सरस्वत्यै नमो नित्यं भद्रकाल्यै नमो नम:।

3- सरस्वती मंत्र- सरस्वती महाभागे विद्ये कमललोचने । विद्यारूपे विशालाक्षि विद्यां देहि नमोस्तुते ॥

Disclaimer – Is lekh mein nihit kisi bhi jankari/saamagri/ganna ki satikta ya vishvasniyata ki guarantee nahi hai. Vibhinn madhyamon/jyotishiyo/panchang/pravachano/manyatayo/dharmagranthon se sangrahit kar ye jankariyan aap tak pahunchai gayi hain. Hamara uddeshya mahaj suchna pahunchana hai, iske upyogakarta ise mahaj suchna samajhkar hi lein. Iske atirikt, iske kisi bhi upyog ki jimmedari swayam upyogakarta ki hi rahegi.