Ulti Ho Gayin Sab Tadbeerein Lyrics , Abida Parveen ne is geet “Ultee Ho Gayi Sab Tadbeeren” ko apne maestrosi gayaki ke saath adbhut rup mein pesh kiya hai. Unki awaaz ne is gazal ke shayari ko ek naye rang mein rang diya hai.

Ulti Ho Gayin Sab Tadbeerein Lyrics In English

Ultee ho gayi sab tadbeeren, kuch na dawa ne kaam kiya.

Dekha is bimari-e-dil ne aakhir kaam tamaam kiya.

Ahad-e-jawaani ro ro kaata peeri mein lein aankhein moond,

Yaani raat bahut the jaage, subh hui aaram kiya.

Harf nahi jaa-bakshi mein uski khubi apni qismat ki,

Humse jo pehle keh bheja, so marne ka paigam kiya.

Naahak hum majbooron par ye tohmat hai mukhtari ki,

Chahte hain so aap karein, hum ko abas badnaam kiya.

Saare rind aubaash jahaan ke tujh se sujood mein rehte hain,

Baankhe tedhe-tirche teekhe sab ka tujh ko imam kiya.

Sarzad humse be-adbi to wohshat mein bhi kam hi hui,

Koson uski or gaye par sajdah har har qaam kiya.

Kis ka kaaba kaisa qibla kaun haram hai kya ehram,

Koche ke uske bashindon ne sab ko yahi se salaam kiya.

Sheikh jo hai masjid mein nanga, raat ko tha mai-khaane mein,

Jubba khirqa kurta topi masti mein inaam kiya.

Kaash ab burqa munh se utha de, varna phir kya hasil hai,

Aankh munde par usne go deedar ko apne aam kiya.

Ya ke sapid o siyah mein hum ko daqal jo hai to itna hai,

Raat ko ro ro subh kiya, ya din ko joon tu shaam kiya.

Subh chaman mein usko kahin takleef-e-hawa le aayi thi,

Rukh se gul ko mol liya, qamat se sarv gulam kiya.

Saad-e-seemin dono uske haath mein la kar chhod diye,

Bhule uske qaul-o-qasam par haaye khayaal-e-khaam kiya.

Kaam hue hain saare zaa-e har sa’at ki samaajh se,

Istighna ki chauguni usne joon joon mein ibraam kiya.

Aise aahu-e-ram-khurda ki wohshat khoni mushkil thi,

Sehr kiya ajaz kiya, jin logon ne tujh ko raam kiya.

‘Meer’ ke deen-o-mazhab ko ab poochte kya ho unne to,

Qashqa khincha daair mein baitha kab ka tark Islam kiya.

Ulti Ho Gayin Sab Tadbeerein Lyrics In Hindi

उल्टी हो गईं सब तदबीरें कुछ न दवा ने काम किया

देखा इस बीमारी-ए-दिल ने आख़िर काम तमाम किया

अहद-ए-जवानी रो रो काटा पीरी में लीं आँखें मूँद

या’नी रात बहुत थे जागे सुब्ह हुई आराम किया

हर्फ़ नहीं जाँ-बख़्शी में उस की ख़ूबी अपनी क़िस्मत की

हम से जो पहले कह भेजा सो मरने का पैग़ाम किया

नाहक़ हम मजबूरों पर ये तोहमत है मुख़्तारी की

चाहते हैं सो आप करें हैं हम को अबस बदनाम किया

सारे रिंद औबाश जहाँ के तुझ से सुजूद में रहते हैं

बाँके टेढ़े तिरछे तीखे सब का तुझ को इमाम किया

सरज़द हम से बे-अदबी तो वहशत में भी कम ही हुई

कोसों उस की ओर गए पर सज्दा हर हर गाम किया

किस का काबा कैसा क़िबला कौन हरम है क्या एहराम

कूचे के उस के बाशिंदों ने सब को यहीं से सलाम किया

शैख़ जो है मस्जिद में नंगा रात को था मय-ख़ाने में

जुब्बा ख़िर्क़ा कुर्ता टोपी मस्ती में इनआ’म किया

काश अब बुर्क़ा मुँह से उठा दे वर्ना फिर क्या हासिल है

आँख मुँदे पर उन ने गो दीदार को अपने आम किया

याँ के सपीद ओ सियह में हम को दख़्ल जो है सो इतना है

रात को रो रो सुब्ह किया या दिन को जूँ तूँ शाम किया

सुब्ह चमन में उस को कहीं तकलीफ़-ए-हवा ले आई थी

रुख़ से गुल को मोल लिया क़ामत से सर्व ग़ुलाम किया

साअद-ए-सीमीं दोनों उस के हाथ में ला कर छोड़ दिए

भूले उस के क़ौल-ओ-क़सम पर हाए ख़याल-ए-ख़ाम किया

काम हुए हैं सारे ज़ाएअ’ हर साअ’त की समाजत से

इस्तिग़्ना की चौगुनी उन ने जूँ जूँ मैं इबराम किया

ऐसे आहु-ए-रम-ख़ुर्दा की वहशत खोनी मुश्किल थी

सेहर किया ए’जाज़ किया जिन लोगों ने तुझ को राम किया

‘मीर’ के दीन-ओ-मज़हब को अब पूछते क्या हो उन ने तो

क़श्क़ा खींचा दैर में बैठा कब का तर्क इस्लाम किया